Koi deewar say lag ke baitha raha
Koi deewar say
lag ke baitha raha
Aur bharta raha siskiyan raat bhar
Aaj ki raat bhi chand aaya naheen
Rah takti raheen khirkiyan raat bher
Gham jalata
kisey koi basti na thi
Mere charon taraf mere dil ke siwa
Mere hi dil pe aa aa ke girti raheen
Mere ehsaas ki bijliyan raat bhar
Dairey shoukh
rangon ke bantey rahey
Yaad aati rahi woh kalai humain
Dil ke sunsaan aangan main bajti raheen
Reshmi sharbati chooriyan raat bhar
Koi deewar say
lag ke baitha raha
Aur bharta raha siskiyan raat bhar
Aaj ki raat bhi chand aaya naheen
Rah takti raheen kerkyan raat bher
Home | Sign My Guest book
| My Hobbies | E-Mail | Free Education | MP 3 | Some Great Nazms What is a Ghazal ? | Shayari | Pakistan some cool web sites | Mehfil-e-Ghazal | Karachi | Other Cities Designed by Muhammad Aamir Khan |