Pareshaan raat saari hai sitaaro tum to so jao
Pareshaan
raat saari hai sitaaro tum to so jao
Sakoot-e-murg taari hai sitaaro tum to so jao
Humain
to aaj ki shub, po phate tuk jaagna ho ga
Yahi qismat humari hai sitaro tum to so jao
Tumhain
kya aaj bhi koi ager milne nahin aaya
Yeh baazi hum ne haari hai sitaaro tum to so jao
Kahe
jaate ho ro ro ke humara haal dunya say
Yeh kaisee raazdari hai sitaaro tum to so jao
Humain
bhi neend aa jaye gi hum bhi so hi jain ge
Abhi kuch beqarari hai sitaaro tum to so jao
Home | Sign My Guest book
| My Hobbies | E-Mail | Free Education | MP 3 | Some Great Nazms What is a Ghazal ? | Shayari | Pakistan some cool web sites | Mehfil-e-Ghazal | Karachi | Other Cities Designed by Muhammad Aamir Khan |