Aankhain meri talwon se mil jaye to accha
Aankhain
meri talwon se mil jaye to accha
Hai hasrat-e-paboos nikal jaye to accha
Woh
subha ko aayen to karoon ba'aton mein dopehar
Aur chahoon ke din thora sa dhal jaye to accha
Dhal
jaye din to karoon ba'aton main phir sham
Aur sham ko chahoun ke woh kal jaye to accha
Jab kal
ho to phir wohi kahoon kal ki tarah se
Gar aaj ka din bhi younhi tal jaye to accha
Alqissa
naheen chahta woh jayen yahan se
Dil uska yaheen garche bahal jaye to accha
Hai
qatta rahe ishq main aye "Zoaq" adab-e-sh'art
Aye shama tu ab sar hi ke
bal jaye to accha
Home | Sign My Guest book
| My Hobbies | E-Mail | Free Education | MP 3 | Some Great Nazms What is a Ghazal ? | Shayari | Pakistan some cool web sites | Mehfil-e-Ghazal | Karachi | Other Cities Designed by Muhammad Aamir Khan |