Sochte sochte phir mujhko Khayal aata hai
Sochte sochte
phir mujhko Khayal aata hai
Woh mere ranj-o-masaib ka madawa to na thee
Rang-e-afshan thee mere dil ki khalaon mein magar
Ek aurat thee aelaj-e-gham-e-dunya to na thee
Meri idrak ke
nasoor to riste rahe
Meri hokar bhi woh meri liye kya kar layti
Hasrat-o-yaas ke gambheer andhere mein bhala
Ek nazuk si kiran saath kahan tuk dayti
Usko rahna tha
zar-o-seem ke aiwanon mein
reh bhi jaati woh mere saath to rehti kab tak
Ek maghroor sahukaar ki pyari baiti
Bhook aur pyas ki takleef ko sehti kab tak
Ek Shayar ki
tamanaon ko dhoka de kar
Usne toree hai ager pyar bhare geet ki lay
Us pe afsoos hai kyun, Us pe taa'jub kaisa
Yeh mohabbat bhi to ahsaas ka ek dhoka hai
Phir bhi
anjane mein jab shaher ki rahon mein kabhi
Dekh leta houn dosheeza jamalon ke hujoom
Rouh par phailne lagta hai udasi ka ghubaar
Zahn mein Raingne lagte hain khayalon ke hujoom
Sochte sochte phir mujh ko khayal aata hai
Home | Sign My Guest book
| My Hobbies | E-Mail | Free Education | MP 3 | Some Great Nazms What is a Ghazal ? | Shayari | Pakistan some cool web sites | Mehfil-e-Ghazal | Karachi | Other Cities Designed by Muhammad Aamir Khan |