Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na mang
Maine
samjha tha ke tu hai to darakhshan hai hayat
Tera gham hai to gham-e-dehar ka jhagra kya hai
Teri surat say hai aalam mein baharon ko sabat
Teri aankhon ke siwa dunya main rakha kya hai
Tu' jo mil jaye to taqdeer nugoon ho jaye
Youn na tha maine faqat chaha tha youn ho jaye
Aur bhi dukh
hain zamane main mohabbat ke siwa
Rahatein aur bhi hain vasal ki rahat ke siwa
Anginat sadyoun ki tareek behimana tilsm
Resham wa atlas wa kamkhwab main bunwaye hue
Ja baja bikte hue koocha-o-bazar mein jism
Khaak mein lithre hue khoon mein nehlaye hue
Jism nikle hue imraz ke tanuron se
Peep behti huee gulte hue nasooron se
Lot jatee hai
udhar ko bhi nazar kya kejeeye ?
Ab bhi dilkash hai tera husn magar aya kejeeye ?
Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
Rahatain aur bhi hain vasal ki rahat ke siwa
Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na mang
Home | Sign My Guest book
| My Hobbies | E-Mail | Free Education | MP 3 | Some Great Nazms What is a Ghazal ? | Shayari | Pakistan some cool web sites | Mehfil-e-Ghazal | Karachi | Other Cities Designed by Muhammad Aamir Khan |