Barsaat ki bhigi raaton mein phir koi suhani yaad aai
Barsaat
ki bhigi raaton mein phir koi suhani yaad aai
Kuch apna zamana yaad aaya, kuch un ki jawani yaad aai
Kaliyon
ki tarha jo chatki thi, un gulshan gulshan honton per
Lo baithe baithe aaj humain woh baat purani yaad aai
Hum
bhool chuke thay kis ne humain dunya main akela cho'd dya
Jab ghor kya to ek surat jaani pehchani yaad aai
Kuch
paaon ke chaale, kuch aansoo, kuch tanhai, kuch gard-e-safar
Us bich'de hue humrahi ki ek ek nishani yaad aai
Hum
chak-e-gireban aap bhi thay, kiya kehtey Qateel zamane ko
Che'da jo pyar ka afsana, apni kahani yaad aai
Home | Sign My Guest book
| My Hobbies | E-Mail | Free Education | MP 3 | Some Great Nazms What is a Ghazal ? | Shayari | Pakistan some cool web sites | Mehfil-e-Ghazal | Karachi | Other Cities Designed by Muhammad Aamir Khan |