Woh ager ban sanwar gaye hongey
Woh ager
ban sanwar gaye hongey
Dekhne wale mar gaye hongey
Sham-e-wada
aur intezaar un ka
Jaane woh kis ke ghar gaye hongey
Tum bhi
dekh aao marne wale ko
Ab to sab charahgar gaye hongey
Jab giri
hogi bagh par bijli
Ahl-e-gulshan kidher gaye hongey
Neend
aayi na hogi raat unhein
Naale kya bay asar gaye hongey
O
sar-e-rah-e-muntazir un ke
Woh to kab ke guzer gaye hongey
Tum bhi
ahle junoon ko poojte ho
Kya khabar hai kidher gaye hongey
Chandni
kam yakayak itnee "Qamar"
Ba'am se woh uter gaye hongey
Home | Sign My Guest book
| My Hobbies | E-Mail | Free Education | MP 3 | Some Great Nazms What is a Ghazal ? | Shayari | Pakistan some cool web sites | Mehfil-e-Ghazal | Karachi | Other Cities Designed by Muhammad Aamir Khan |