Jo tum aaoge phir aankhon ke darya num naheen hongey
                                                                     (Hamid Kartar Puri)

 

Jo tum aaoge phir aankhon ke darya num naheen hongey
Khuda shahid hai sub kuch hoga laikin hum naheen hongey

Yaqeen  jano tumhari qurbatain bhi hashr dhayen gee
Ke armanon ke aangarey to hargiz kam naheen hongey

Ghamon ki ta'an tootay gee, na ubhray gee na phayle gee
Yeh hai saaz-e-Mohabbat is mein zer-o-bum naheen hongey

Tumhari yaad se khelaingey tanhai ki mehfil mein
Wohi urtey huwe lamhey jo sirf-e-ram naheen hongey

Mera maslak khuloos-e-ishq ka mafhoom rakhta hai
Mere saagar mein sub kuch hoga laikin sum naheen hongey

Wafa ne ek hayat-e-mustaqil hum ko aata ki hai
Ke hum zindah raheinge garche baqi dum naheen hongey

Koi Fir'oun ho, Namrood ho shaddad ho "Hamid"
Kuch aisey sir phire hein hum kahin bhi kham naheen hongey

 

Next >>

 

Home | Sign My Guest book  | My Hobbies | E-Mail | Free Education |  MP 3  |  Some Great Nazms
What is a Ghazal ? Shayari  | Pakistan some cool web sites |
  Mehfil-e-Ghazal |  Karachi |  Other Cities

Designed by Muhammad Aamir Khan
1