Yeh kya keh sab se bayan dil ki halatein karni
Yeh kya
keh sab se bayan dil ki halatein karni
"Faraz" tujh ko na aayein muhabatein kerni
Yeh qurb
kya hai ke tu samne hai aur hamein
Shumar abhi se judai ki sa'atein karni
Koi
khuda ho keh pathar, jise bhi hum chahein
Tamam umr ussi ki ibadatein karni
Sab
apney apney qareeney sey muntazir us key
Kisi ko shukr kisi ko shikayatein karni
Hum apne
dil se hein majboor aur logon ko
Zara si baat pe barpa qayamatein karni
Milein
jab un se to mubham si gufttagu karna
Phir apne aap se soo soo wazahatein karni
Yeh loog
kaisey magar dushmani nibhate hein
Humein to raas na aayeen muhabatein karni
Kabhi
"Faraz" naye mausamon mein ro dena
Kabhi talash purani rafaqatein karni
Home | Sign My Guest book
| My Hobbies | E-Mail | Free Education | MP 3 | Some Great Nazms What is a Ghazal ? | Shayari | Pakistan some cool web sites | Mehfil-e-Ghazal | Karachi | Other Cities Designed by Muhammad Aamir Khan |