Mein khayal houn kisi aur ka
                                          (Saleem Kauser)

 

Mein khayal houn kisi aur ka, mujhe soochta koi aur hai
Sar-e-aaina mera aks hai pas-e-aaina koi aur hai

Mein kisi ke dast-e-talab mein houn to kisi ke harf-e-dua mein houn
Mein naseeb houn kisi aur ka mujhe mangta koi aur hai

Ajab aitebaar-o-be'aitebaari keh darmian hai yeh zindagi
Mein qareeb houn kisi aur ke mujhe jaanta koi aur hai

Meri roshni tere khad-o-khal se mukhtalif to naheen magar
Tu qareeb aa tujhe dekh loon tu wohi hai ya koi aur hai

Tujhe dushmanon ki khabar na thi mujhe doston ka pata na tha
Teri dastaan koi aur thi mera waqeya koi aur hai

Kabhi loot aayein to poochna naheen dekhna unhein ghour sey
Jinhein raste mein khabar hui keh yeh raasta koi aur hai

 

Next >>

 

Home | Sign My Guest book  | My Hobbies | E-Mail | Free Education |  MP 3  |  Some Great Nazms
What is a Ghazal ? Shayari  | Pakistan some cool web sites |
  Mehfil-e-Ghazal |  Karachi |  Other Cities

Designed by Muhammad Aamir Khan
1