POEMS

PYAAR MEIN DHOKA SERIES

Humney tumharee yaadon mein ro ro ke tub bhar diye
Magar tum itney be-wafa nikle ke nahake chal diye.

Woh chham chham karke aayee
Aur chham chham karke chalee gayee
Main sindoor ka dibba lekar khada raha
Woh Rakhee bandh ke chalee gayee.

Badi der se jinki zulfon pe nazren jamaye baithe the
Paas jakar dekha to sardarji nahaye baithe thai

THODA SENSE SERIES :

Mat pee sharab galib masjid mein baith kar
Ek hi botal hai, kahin maulvi na mang le.

Khud ko kar buland itnaa..
Ke' Himaalay ki choti pe jaa pahunche..
aur khuda tumse puche..
'Abe gadhe... ab utrega kaise '

DOOR SE DEKHA SERIES :

Door se dekha to kuchh dikha nahi...
Dooor se dekhaaa... to kuchh dikha nahi...
Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi

Door se dekha to Patthhar dikhta tha...
Dooor se dekha... to Patthharr dikhtaa thaa...
Paas jake dekha to... suchmuch Patthhar hi thaa.

Door se dekha to paani baras raha tha
Door se dekha to paani baras raha tha
Paas gaya... to salah main bheeg gaya.

Door se dekha to sher tha
Door se dekha to sher tha
Is liye paas gaya hi nahi.

AD SERIES :

Mein tere pyar mein paagal hua chhaliye
Mein tere pyar mein paagal hua chhaliye,
Iodex maliye kaam pe chaliye

Tum har raat mere khwabon mein aao,
Tum har raat mujhe yuunhi satao,
Melody khao khud jaan jao.

Main hu yahan, tu hai wahan
Main hu yahan, tu hai wahan
Lifebouy hai jahan, tandurusti hai wahan

Maine tumse pyar kiya, tere baap ne mujhe pita
Maine tumse pyar kiya, tere baap ne mujhe pita
Tan ki shakti, man ki shakti, Bournvita

Maine tumse pyar kiya, tere baap ne mujhe pita
Maine tumse pyar kiya, tere baap ne mujhe pita
Sin (Teta) / Cos(Teta) =Tan(Teta)

 

GHALIB ....

Aur, end me Ghalib ke liye ek dam fit sher.
Kyon apni kabar khod raha hai Galib...
Kyon apni kabar khod raha hai Galib...
La, phawda mujhe de.

1