Koi Sahara Nahi

Ek mauj hai jis ka koi kinara nahi,
Ek bhool hai jis ka koi bahana nahi
Ji rahi hoon ab kuch is tarha se mein
Jaise koi ummed, koi sahara nahi
Sapna tha koi jo bikhra tha aise
Masoom phoolon hi khusbo ho jaise
Suraj ki kirnain chand ki chandini
Apni duniya mein bikhreh ho jaise
Palkoon se gir ke tute hain aaise
Mera ab koi sapna, sapna nahi
Raaton ki tanhai saathi hai mere
Chiragoon ki roshni ab zindagani hai meri
Meri baahain ab ye kehti hain mujhse
Koi bhi tera ab yahaan nahi
Maujon ki masti mein jhoom kar
Hawaoon ke jhoonkoon mein ghoom kar
Muskurata hai aur kabhi hasta hein dil
Sochta hai kuch aur karta hein kuch
Jaise in asmaanoon ki koi hadh nahi
Waise hi meri shayad koi manzil nahi
Ji rahi ab kuch is tarha se mein
Jaise koi ummed, koi shara nahi.

Anokhi duniya

Ye duniya bhi anokhi hai ke yahaan
mausam badal jate hai dekhte hi dekte
Thikana kisi ka thikana nahi
Yahaan manzilain badal jati hain dekhte hi dekhte
Bharosa kise pe kya ja nahi sakta
Dil kisi ko diya ja nahi sakta
Humsafar chaho tu apne aap mein dhoondo
Sathi yahaan koi mil nahi sakta
Safar hai kathin itna ke yahaan
Humrahi badal jate hain dekhte hi dekhte
Ye duniya bhi anokhi hai ke yahaan
mausam badal jate hain dekhte hi dekhte
Duniya meri kahaan hai?
Maloom kyoon asmaan hai?
Chup ke se mera dil ye
Saval pochta hai
Udaas kyoon chandni hai?
Khamosh kyoon fiza hai?
Chand se dhere dhere
Saval ye pochta hai
Ke ye duniya meri nahi hein
aur na asmaan hai
ye chand sitare
Ye badal ye nazare
Kyoon khamosh hain sare
Ye dil pochta hai
Ke duniya meri kahaan hai
Kyoon bikhar jati hoon mein sambhalte sambhalte
Kyoon ro jati hoon mein hanste hanste
Kyoon log badal jate hain mausam ke saath
Kyoon mar jati hoon mein har baat ke baad?
1