[ Home ] [ Up ]
Shayari & Ghazals of Vikrant
Srivastava 'Gair'
[check favorite collection on Poet
website Developed by me]
- Humein Har shakhsh Apna sa lagta hai
- Tu 'Gair' hi sahi magar apna sa lagta hai
- Kisi Ko Kah ke bulana aasaan hai
- Bhool Jaaye dil to vo dil kahan hai
- Karoge Yaad gar humko to yaad aayega ek
sapna
- Yahi to yaar tha mera jo 'Gair' ho kar bhi
tha apna
- Tanhayiyan kya karengi tanha usse
- Jo khud aabaadiyon mein tanha rahe
- Aapki nazroan ki baatein aa gai jab yaad
mein
- So na paaye raat bhar aapki yaad mein
- Hum 'Gair' hi sahi insaan ka dil rakhte
hein
- Kiya tha pyar tab tumse abhi bhi pyar
kartein hein
- Ab mere dil mein vo karaar kahan
- paas rahta hoon magar pyar kahan
- 'Gair' ka kab talak koi hum safar hoga
- humari zindagi mein yahi hua hai aur yahi
hoga
- Na apne aap ko na tumko samajh paayenge
- Badalte waqt ke saath badalte jaayenge
- Tum apne aap se hum apne aap se
- kush na sahi magar khafa to rah saktein
hein
- Tere daaman mein apno ke liye kuchh bhi
nahin
- 'Gair' hi kush hain jo khud hi paa jaate
hain
- Na usne jaana meri chahat ko to kya
- Hum to unhe chahenge umra bhar yun hi
- Zindagi ko yun hi akele guzara humne
- waqt ke saath waqt guzara humne
- Pyar hota hai bahut par waqt thoda hai
- yaad aati hai bahut par saath thoda hai
- Zakhm chhupaane ka maza hi kuchh aur hai
- Ek tasaalli to rahti hai ki koi jaanta nahin
- Jisko chaha tha kush dekhen usee ko dukh diya hai
- Bahut bada na sahi par zurm to kiya hai
- Dard ki duniya teri pyar ka raasta mera
- Jab hua saath to dard se waasta na raha
- Itna roye ki hansane ki ada bhool gaye
- Ab to hansane mein bhi rone ka gumaan hota hai
- Ashk Aankhon mein nahin dil mein chhupaate hain
- Tumhi se pyar kiya hai tumhi se hi chhupaate hain
Ghazal
- Dil hi dil mein dil mera rota raha
- In gamoan ki bheed mein sukh mera sota raha
- Raat mein jab yaad aaye tum mujhe
- Sab chup the dil mera rota raha
- Jaagte waqt kuchh na kuchh hum karte rahe
- Magar kuchh na kuchh dil mein mere hota raha
- Jitna chaha tha unko apna banana
- Faasla duniya ka tha badta raha