SAFR
 
#1
Zindagi Ajeeb Shae Hai
Kabhi Gham Kabhi Khushi Hai
Yaad Rakhna Hai Ek Baat Magar
Rasta Lamba Aur Mor Bohat
Hamsafar Aysa Hona Chaahiye
Girift Dheeli Na Karde Jo
Tang Andheri Galiyon Main
Bheer Main Agar Ussney Kho Jana Chaha
To Hamsafar Mera Kabhi Tha Hee Na Woh
#2
Har Ek Muskarahat Ko Tarazoo Mein Tolo To
Har Ek Ansoo Wazan Barabar Karta Hai
Palla Bhaari Kisi Ka Na Hota Hai
Aur Safar Yoonhi Guzar Jaata Hai